Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aazar hui jati hai shohrat hum ko

Amjad Islam Amjad

ek aazar hui jati hai shohrat hum ko

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    ek āzār huī jaatī hai shohrat ham ko

    ḳhud se milne bhī miltī nahīñ fursat ham ko

    raushnī ye musāfir hai rah-e-jāñ nahīñ

    apne saa.e se bhī hone lagī vahshat ham ko

    aañkh ab kis se tahayyur tamāshā māñge

    apne hone pe bhī hotī nahīñ hairat ham ko

    ab ke ummīd ke shole se bhī āñkheñ na jalīñ

    jaane kis moḌ pe le aa.ī mohabbat ham ko

    kaun rut hai zamāne meñ hameñ kyā mālūm

    apne dāman meñ liye phirtī hai hasrat ham ko

    zaḳhm ye vasl ke marham se bhī shāyad na bhare

    hijr meñ aisī milī ab ke masāfat ham ko

    dāġh-e-isyāñ to kisī taur na chhupte 'amjad'

    Dhāñp letī na agar chādar-e-rahmat ham ko

    ek aazar hui jati hai shohrat hum ko

    KHud se milne ki bhi milti nahin fursat hum ko

    raushni ka ye musafir hai rah-e-jaan ka nahin

    apne sae se bhi hone lagi wahshat hum ko

    aankh ab kis se tahayyur ka tamasha mange

    apne hone pe bhi hoti nahin hairat hum ko

    ab ke ummid ke shole se bhi aankhen na jalin

    jaane kis moD pe le aai mohabbat hum ko

    kaun si rut hai zamane mein hamein kya malum

    apne daman mein liye phirti hai hasrat hum ko

    zaKHm ye wasl ke marham se bhi shayad na bhare

    hijr mein aisi mili ab ke masafat hum ko

    dagh-e-isyan to kisi taur na chhupte 'amjad'

    Dhanp leti na agar chadar-e-rahmat hum ko

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ek aazar hui jati hai shohrat hum ko Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now