ek agar paimana hota
ek agar paimāna hotā
mai-ḳhāna mai-ḳhāna hotā
ghar chāhe vīrāna hotā
un kā ānā-jānā hotā
maiñ to ḳhud ko bhuul gayā thā
tum ne to pahchānā hotā
aap agar hunkāre dete
aur hī kuchh afsāna hotā
har laḌkī jo lailā hotī
har laḌkā dīvāna hotā
donoñ mil kar hastī bunte
'ishq kā tānā-bānā hotā
kaash tumhāre paañv kā moza
'fahmī' kā dastāna hotā
ek agar paimana hota
mai-KHana mai-KHana hota
ghar chahe virana hota
un ka aana-jaana hota
main to KHud ko bhul gaya tha
tum ne to pahchana hota
aap agar hunkare dete
aur hi kuchh afsana hota
har laDki jo laila hoti
har laDka diwana hota
donon mil kar hasti bunte
'ishq ka tana-bana hota
kash tumhaare panw ka moza
'fahmi' ka dastana hota
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 59)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.