ek bar hi kar len roz KHud-kushi kaisi
ek baar hī kar leñ roz ḳhud-kushī kaisī
be-zamīr logoñ ke saath zindagī kaisī
jab zakāt baTtī hai ik qatār hote haiñ
shahr ke amā.id meñ itnī muflisī kaisī
lagtā hai qayāmat ab kuchh hī fāsle par hai
sūrajoñ kī āñkhoñ meñ itnī tīrgī kaisī
saat pardoñ ke pīchhe bhī garaj nahīñ sakte
maiñ samajh nahīñ paatā hai ye be-hisī kaisī
maiñ duā.eñ kyā māñgūñ ilm ke mazāroñ se
in meñ zindagī kitnī in meñ raushnī kaisī
ek bar hi kar len roz KHud-kushi kaisi
be-zamir logon ke sath zindagi kaisi
jab zakat baTti hai ek qatar hote hain
shahr ke amaid mein itni muflisi kaisi
lagta hai qayamat ab kuchh hi fasle par hai
surajon ki aankhon mein itni tirgi kaisi
sat pardon ke pichhe bhi garaj nahin sakte
main samajh nahin pata hai ye be-hisi kaisi
main duaen kya mangun ilm ke mazaron se
in mein zindagi kitni in mein raushni kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.