ek be-rang se ghubar mein hun
ek be-rañg se ġhubār meñ huuñ
terī āvāz ke hisār meñ huuñ
be-ḳhizāñ hai tasavvur-e-hastī
maiñ abhī ālam-e-bahār meñ huuñ
merā har fe.al mujh se poshīda
jaane maiñ kis ke iḳhtiyār meñ huuñ
abhī toḌo na ye tilism-e-vafā
maiñ abhī pyaar ke ḳhumār meñ huuñ
zindagī tujh se kuchh nahīñ shikva
apne qātil ke intizār meñ huuñ
ek be-rang se ghubar mein hun
teri aawaz ke hisar mein hun
be-KHizan hai tasawwur-e-hasti
main abhi aalam-e-bahaar mein hun
mera har feal mujh se poshida
jaane main kis ke iKHtiyar mein hun
abhi toDo na ye tilism-e-wafa
main abhi pyar ke KHumar mein hun
zindagi tujh se kuchh nahin shikwa
apne qatil ke intizar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.