ek beva kī aas lagtī hai
zindagī kyoñ udaas lagtī hai
har taraf chhā.ī ghor tārīkī
raushnī kī asaas lagtī hai
pī rahā huuñ hanūz ashk-e-ġham
bahr-e-ġham ko bhī pyaas lagtī hai
laakh pahnāo dostī kī qabā
dushmanī be-libās lagtī hai
maut ke sāmne hayāt 'asad'
sūrat-e-iltimās lagtī hai
ek bewa ki aas lagti hai
zindagi kyon udas lagti hai
har taraf chhai ghor tariki
raushni ki asas lagti hai
pi raha hun hanuz ashk-e-gham
bahr-e-gham ko bhi pyas lagti hai
lakh pahnao dosti ki qaba
dushmani be-libas lagti hai
maut ke samne hayat 'asad'
surat-e-iltimas lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.