ek chehra banā liyā sāhib
apnā rasta banā liyā sāhib
avval avval to bad-gumān rahe
phir vatīra banā liyā sāhib
aap jaisoñ kī mehrbānī hai
apne jaisā banā liyā sāhib
aa.ina dekhnā nahīñ paḌtā
ḳhud ko puurā banā liyā sāhib
ḳhushk dariyā ke naqsh khīñche haiñ
aur sahrā banā liyā sāhib
ek dariyā utarne vaalā thā
ek dariyā banā liyā sāhib
ek chehra bana liya sahib
apna rasta bana liya sahib
awwal awwal to bad-guman rahe
phir watira bana liya sahib
aap jaison ki mehrbani hai
apne jaisa bana liya sahib
aaina dekhna nahin paDta
KHud ko pura bana liya sahib
KHushk dariya ke naqsh khinche hain
aur sahra bana liya sahib
ek dariya utarne wala tha
ek dariya bana liya sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.