ek chehre pe hain kai chehre
ek chehre pe haiñ ka.ī chehre
paḌh nahīñ pāoge sabhī chehre
ḳhud kī pahchān ho ga.ī mushkil
yuuñ badaltī hai zindagī chehre
tez thī ġham kī dhuup ham par yuuñ
kho chuke kab se tāzgī chehre
zahr-e-ġham pī ke muskurāte haiñ
un ke dekhe bhī haiñ kabhī chehre
har ghaḌī kyoñ sapāT lagte haiñ
tan pe hoñ jaise kāġhazī chehre
ab kahāñ taab muskurāne kī
ḳhauf se zard haiñ abhī chehre
ham ne dekhā hai bārhā 'sābir'
apne lagte haiñ ajnabī chehre
ek chehre pe hain kai chehre
paDh nahin paoge sabhi chehre
KHud ki pahchan ho gai mushkil
yun badalti hai zindagi chehre
tez thi gham ki dhup hum par yun
kho chuke kab se tazgi chehre
zahr-e-gham pi ke muskuraate hain
un ke dekhe bhi hain kabhi chehre
har ghaDi kyon sapaT lagte hain
tan pe hon jaise kaghazi chehre
ab kahan tab muskurane ki
KHauf se zard hain abhi chehre
hum ne dekha hai barha 'sabir'
apne lagte hain ajnabi chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.