ek chup khae gai hai mujhko
ek chup khaa.e ga.ī hai mujh ko
āgahī Dhaa.e ga.ī hai mujh ko
zindagī mere sañvarne ke liye
dard pahnā.e ga.ī hai mujh ko
be-ḳhudī aap talak laa.ī thī
so vahī laa.e ga.ī hai mujh ko
aap ne raakh kiyā uḌne ko
ḳhaak dafnā.e ga.ī hai mujh ko
mere idrāk kī majbūrī se
baat bahlā.e ga.ī hai mujh ko
chāñd is taur se utrā shab meñ
raat gahnā.e ga.ī hai mujh ko
ek chup khae gai hai mujh ko
aagahi Dhae gai hai mujh ko
zindagi mere sanwarne ke liye
dard pahnae gai hai mujh ko
be-KHudi aap talak lai thi
so wahi lae gai hai mujh ko
aap ne rakh kiya uDne ko
KHak dafnae gai hai mujh ko
mere idrak ki majburi se
baat bahlae gai hai mujh ko
chand is taur se utra shab mein
raat gahnae gai hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.