ek Dar sa laga hua hai mujhe
ek Dar sā lagā huā hai mujhe
vo binā shart chāhtā hai mujhe
khul ke rone ke din tamām hue
ab mirā zabt dekhnā hai mujhe
mar rahā huuñ usī sukūn ke saath
saañs lene kā tajraba hai mujhe
ek jaañ ek tan haiñ hijr aur maiñ
terā aanā bhī ab sazā hai mujhe
ab maiñ ḳhāmosh hone vaalā huuñ
kyā koī shaḳhs sun rahā hai mujhe
chup rahā maiñ isī liye 'kāñhā'
mujh se behtar vo jāntā hai mujhe
ek Dar sa laga hua hai mujhe
wo bina shart chahta hai mujhe
khul ke rone ke din tamam hue
ab mera zabt dekhna hai mujhe
mar raha hun usi sukun ke sath
sans lene ka tajraba hai mujhe
ek jaan ek tan hain hijr aur main
tera aana bhi ab saza hai mujhe
ab main KHamosh hone wala hun
kya koi shaKHs sun raha hai mujhe
chup raha main isi liye 'kanha'
mujh se behtar wo jaanta hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.