ek dariya chhupa ke ghar rakhna
ek dariyā chhupā ke ghar rakhnā
kitnā mushkil hai chashm-e-tar rakhnā
pahlī saf meñ khaḌe hue logo
āḳhirī shaḳhs par nazar rakhnā
yaar dīvār kā taqāzā hai
kuchh bhī ho jaa.e is meñ dar rakhnā
mujh ko imkān ne sikhā Daalā
ek taaza ḳharāsh kar rakhnā
apne pahlū meñ tum bhī misra’-e-'mīr'
ai mire zauq-e-mo'tabar rakhnā
dekh hairat na phail jaa.e kahīñ
dasht-ābād par nazar rakhnā
ek dariya chhupa ke ghar rakhna
kitna mushkil hai chashm-e-tar rakhna
pahli saf mein khaDe hue logo
aaKHiri shaKHs par nazar rakhna
yar diwar ka taqaza hai
kuchh bhi ho jae is mein dar rakhna
mujh ko imkan ne sikha Dala
ek taza KHarash kar rakhna
apne pahlu mein tum bhi misra’-e-'mir'
ai mere zauq-e-mo'tabar rakhna
dekh hairat na phail jae kahin
dasht-abaad par nazar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.