ek dariya-e-tilismat rawan kar Dala
ek dariyā-e-tilismāt ravāñ kar Daalā
aap ke husn ne būḌhoñ ko javāñ kar Daalā
maiñ ne iz.hār kiyā us ne jhukā diiñ nazreñ
bin kahe kuchh mire mahbūb ne haañ kar Daalā
shauq-e-nazzāra ne īmān kī duniyā luuTī
dil-e-momin hadaf-e-chashm-e-butāñ kar Daalā
kam na thī gardish-e-daurāñ kī girānī mujh par
terī yādoñ ne use aur girāñ kar Daalā
kaisā nādāñ huuñ ki ġhazloñ ke bahāne 'kāzim'
maiñ ne har raaz mohabbat kā bayāñ kar Daalā
ek dariya-e-tilismat rawan kar Dala
aap ke husn ne buDhon ko jawan kar Dala
main ne izhaar kiya us ne jhuka din nazren
bin kahe kuchh mere mahbub ne han kar Dala
shauq-e-nazzara ne iman ki duniya luTi
dil-e-momin hadaf-e-chashm-e-butan kar Dala
kam na thi gardish-e-dauran ki girani mujh par
teri yaadon ne use aur giran kar Dala
kaisa nadan hun ki ghazlon ke bahane 'kazim'
main ne har raaz mohabbat ka bayan kar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.