ek dariya rawan nahin milta
ek dariyā ravāñ nahīñ miltā
varna sāhil kahāñ nahīñ miltā
sahn hai yā faqat darīcha hai
ab mukammal makāñ nahīñ miltā
bārisheñ kitnī tez lagtī haiñ
jab kahīñ sā.ebāñ nahīñ miltā
raushnī be-sahar bhī hotī hai
har sharar ko dhuāñ nahīñ miltā
sirf ġham kī zamīn hotī hai
hijr meñ āsmāñ nahīñ miltā
ai ḳhudā tujh se haT ke kyā sochūñ
dar koī darmiyāñ nahīñ miltā
ek dariya rawan nahin milta
warna sahil kahan nahin milta
sahn hai ya faqat daricha hai
ab mukammal makan nahin milta
barishen kitni tez lagti hain
jab kahin saeban nahin milta
raushni be-sahar bhi hoti hai
har sharar ko dhuan nahin milta
sirf gham ki zamin hoti hai
hijr mein aasman nahin milta
ai KHuda tujh se haT ke kya sochun
dar koi darmiyan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.