ek dhoka hai dilkashi kya hai
ek dhoka hai dilkashī kyā hai
ham samajhte haiñ dostī kyā hai
āñsuoñ kī ho aur umr darāz
chāñd-tāroñ kī raushnī kyā hai
husn kī ik nigāh jāñ-parvar
ishq kī aur zindagī kyā hai
ham ne dekhā hai bhīgī palkoñ ko
aap kyā jāneñ tishnagī kyā hai
rūThnā ik adā to hai lekin
ye hamesha kī barhamī kyā hai
dil ko nisbat hai un ke dil se 'ra.īs'
jazb-e-ulfat meñ ab kamī kyā hai
ek dhoka hai dilkashi kya hai
hum samajhte hain dosti kya hai
aansuon ki ho aur umr daraaz
chand-taron ki raushni kya hai
husn ki ek nigah jaan-parwar
ishq ki aur zindagi kya hai
hum ne dekha hai bhigi palkon ko
aap kya jaanen tishnagi kya hai
ruThna ek ada to hai lekin
ye hamesha ki barhami kya hai
dil ko nisbat hai un ke dil se 'rais'
jazb-e-ulfat mein ab kami kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.