ek din mera aaina mujhko
ek din merā ā.īna mujh ko
mujh se kar jā.egā judā mujh ko
vo bhī maujūd thā kināre par
us ne dekhā thā Dūbtā mujh ko
ġham, musībat, firāq, tanhā.ī,
us ne kyā kuchh nahīñ diyā mujh ko
phuul huuñ ḳhaak to nahīñ huuñ maiñ
raas kab aa.egī havā mujh ko
saikḌoñ aa.ine badal Daale
apnā chehrā nahīñ milā mujh ko
lab pe mohar-e-sukūt bhī to nahīñ
kar gayā kaun be-sadā mujh ko
maut kyūñ-kar najāt baḳhshegī
zindagī tū ne kyā diyā mujh ko
ek din mera aaina mujh ko
mujh se kar jaega juda mujh ko
wo bhi maujud tha kinare par
us ne dekha tha Dubta mujh ko
gham, musibat, firaq, tanhai,
us ne kya kuchh nahin diya mujh ko
phul hun KHak to nahin hun main
ras kab aaegi hawa mujh ko
saikDon aaine badal Dale
apna chehra nahin mila mujh ko
lab pe mohar-e-sukut bhi to nahin
kar gaya kaun be-sada mujh ko
maut kyun-kar najat baKHshegi
zindagi tu ne kya diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.