ek din na rone ka faisla kiya maine
ek din na rone kā faisla kiyā maiñ ne
aur phir badal Daalā apnā faisla maiñ ne
dil meñ valvala sā kuchh chaal meñ anā sī kuchh
jaise ḳhud nikālā ho apnā rāsta maiñ ne
mujh meñ apnī hī sūrat dekhne lage haiñ sab
jaane kab banā Daalā ḳhud ko ā.īna maiñ ne
us ko bhī thā kuchh kahnā mujh ko bhī thā kuchh sunñā
aur kuchh kahā us ne aur kuchh sunā maiñ ne
kuchh ḳhabar na thī mujh ko khil rahā hai koī gul
bas havā kā ā.īna dekh hī liyā maiñ ne
vaqt ne har aahaT par ḳhaak Daal dī 'shahpar'
kar diyā adā āḳhir jizya-e-anā maiñ ne
ek din na rone ka faisla kiya main ne
aur phir badal Dala apna faisla main ne
dil mein walwala sa kuchh chaal mein ana si kuchh
jaise KHud nikala ho apna rasta main ne
mujh mein apni hi surat dekhne lage hain sab
jaane kab bana Dala KHud ko aaina main ne
us ko bhi tha kuchh kahna mujh ko bhi tha kuchh sunna
aur kuchh kaha us ne aur kuchh suna main ne
kuchh KHabar na thi mujh ko khil raha hai koi gul
bas hawa ka aaina dekh hi liya main ne
waqt ne har aahaT par KHak Dal di 'shahpar'
kar diya ada aaKHir jizya-e-ana main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.