ek do raat mein shohrat nahin milti pagle
ek do raat meñ shohrat nahīñ miltī pagle
itne saste meñ ye daulat nahīñ miltī pagle
ho agar ḳhauf-e-ḳhudā kaam banā kartā hai
sirf misvāk se jannat nahīñ miltī pagle
maiñ jo ḳhud chal ke tirī zaat talak aaya huuñ
varna yuuñ hai ke mohabbat nahīñ miltī pagle
ham ko zid thī ke yahī rāsta chalnā hai hameñ
varna har moḌ pe aafat nahīñ miltī pagle
sar paTakne se to bas ḳhuun bahā kartā hai
sar paTakne se to izzat nahīñ miltī pagle
ek do raat mein shohrat nahin milti pagle
itne saste mein ye daulat nahin milti pagle
ho agar KHauf-e-KHuda kaam bana karta hai
sirf miswak se jannat nahin milti pagle
main jo KHud chal ke teri zat talak aaya hun
warna yun hai ke mohabbat nahin milti pagle
hum ko zid thi ke yahi rasta chalna hai hamein
warna har moD pe aafat nahin milti pagle
sar paTakne se to bas KHun baha karta hai
sar paTakne se to izzat nahin milti pagle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.