ek duniya hasin chahte hain
ek duniyā hasīn chāhte haiñ
saañp ab āstīn chāhte haiñ
ruḳhsatī ke liye nahīñ uThte
haath aarā machine chāhte haiñ
chhū nahīñ sakte āsmāñ se tujhe
chāñd taare zamīn chāhte haiñ
tum judā ho ke lauT aaoge
ham yahī to yaqīn chāhte haiñ
merī ḳhvāhish to sirf aap hī haiñ
aap kyā behtarīn chāhte haiñ
ek duniya hasin chahte hain
sanp ab aastin chahte hain
ruKHsati ke liye nahin uThte
hath aara machine chahte hain
chhu nahin sakte aasman se tujhe
chand tare zamin chahte hain
tum juda ho ke lauT aaoge
hum yahi to yaqin chahte hain
meri KHwahish to sirf aap hi hain
aap kya behtarin chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.