ek dushman ko baDe pyar se mehman kiya
ek dushman ko baḌe pyaar se mehmān kiyā
ham ne kāñToñ se saje tasht ko gul-dān kiyā
ham ne sīñchā hai dil-o-tan ke lahū se is ko
varna ye ek bayābāñ thā gulistān kiyā
phir bhī ham tujh pe luTāte haiñ dil-o-tan kā lahū
tere rishte ne magar ham ko bhī anjān kiyā
gaañv bhī Duub gayā mauj-e-balā meñ ai dost
ab ke barsāt ne har mauj ko tūfān kiyā
ham ne insān ko nasloñ meñ yahāñ baañT diyā
sayyad-o-shaiḳh kiyā mīr-o-muġhal ḳhaan kiyā
kis ne tahzīb kī dīvār girā dī 'aḳhtar'
ek ik shahr ko kam-baḳht ne vīrān kiyā
ek dushman ko baDe pyar se mehman kiya
hum ne kanTon se saje tasht ko gul-dan kiya
hum ne sincha hai dil-o-tan ke lahu se is ko
warna ye ek bayaban tha gulistan kiya
phir bhi hum tujh pe luTate hain dil-o-tan ka lahu
tere rishte ne magar hum ko bhi anjaan kiya
ganw bhi Dub gaya mauj-e-bala mein ai dost
ab ke barsat ne har mauj ko tufan kiya
hum ne insan ko naslon mein yahan banT diya
sayyad-o-shaiKH kiya mir-o-mughal KHan kiya
kis ne tahzib ki diwar gira di 'aKHtar'
ek ek shahr ko kam-baKHt ne viran kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.