ek gardan shab-o-roz wo gardante hain
ek gardān shab-o-roz vo gardānte haiñ
kyā haqīqat hai pas-e-parda nahīñ jānte haiñ
zindagī ham tire dhoke meñ nahīñ ā.eñge
zindagī ham tire bahrūp ko pahchānte haiñ
koī din aur ki chamkeñge sitāra ban kar
ḳhaak alfāz ke sahrā kī abhī chhānte haiñ
phir havā chāhe jahāñ un ko uḌā le jaa.e
be-ḳhabar ruḳh jo havā kā nahīñ pahchānte haiñ
ūñchī dastār se dhoke meñ na aa jaa.eñ aap
ye faqīhān-e-haram haiñ inheñ ham jānte haiñ
bārhā un se kahā thā na tamāshā kiije
hujjatī log magar baat kahāñ mānte haiñ
ek gardan shab-o-roz wo gardante hain
kya haqiqat hai pas-e-parda nahin jaante hain
zindagi hum tere dhoke mein nahin aaenge
zindagi hum tere bahrup ko pahchante hain
koi din aur ki chamkenge sitara ban kar
KHak alfaz ke sahra ki abhi chhante hain
phir hawa chahe jahan un ko uDa le jae
be-KHabar ruKH jo hawa ka nahin pahchante hain
unchi dastar se dhoke mein na aa jaen aap
ye faqihan-e-haram hain inhen hum jaante hain
barha un se kaha tha na tamasha kije
hujjati log magar baat kahan mante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.