ek gharib shair ki maut par
ek gharib shair ki maut par
Ghaus Khah makhah Hyderabadi
MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi
lamhoñ meñ zindagī kā safar yuuñ guzar gayā
saa.e meñ jaise koī musāfir Thahar gayā
maḳhmūr thā nashe meñ ġham-e-rozgār ke
hosh aa gayā to umr kā paimāna bhar gayā
daulat bhī us ke haath na aa.ī tamām-umr
kuchh naam hī na apnā zamāne meñ kar gayā
sab us ke ḳhair-ḳhvāh bulandī pe rah ga.e
shohrat kī sīḌhiyoñ se vo nīche utar gayā
mauqa-parast āb-o-havā meñ na jī sakā
apnī anā kī qaid meñ jaañ se guzar gayā
maut us kī saarī mushkileñ āsān kar ga.ī
ik bojh zindagī kā thā sar se utar gayā
afsos kam huā magar hairat bahut huī
jab 'ḳhvāh-maḳhvāh' ain za.īfī meñ mar gayā
lamhon mein zindagi ka safar yun guzar gaya
sae mein jaise koi musafir Thahar gaya
maKHmur tha nashe mein gham-e-rozgar ke
hosh aa gaya to umr ka paimana bhar gaya
daulat bhi us ke hath na aai tamam-umr
kuchh nam hi na apna zamane mein kar gaya
sab us ke KHair-KHwah bulandi pe rah gae
shohrat ki siDhiyon se wo niche utar gaya
mauqa-parast aab-o-hawa mein na ji saka
apni ana ki qaid mein jaan se guzar gaya
maut us ki sari mushkilen aasan kar gai
ek bojh zindagi ka tha sar se utar gaya
afsos kam hua magar hairat bahut hui
jab 'KHwah-maKHwah' ain zaifi mein mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.