ek hum hi to nahin aabla-pa aawara
ek ham hī to nahīñ ābla-pā āvāra
nighat-e-gul bhī huī bād-e-sabā āvāra
ye kahīñ umr-e-guzishta to nahīñ tum to nahīñ
koī phirtā hai sar-e-shahr-e-vafā āvāra
kaun manzil kī ḳhabar de kise manzil kī ḳhabar
rāh-rau ābla-pā rāh-numā āvāra
dil dhaḌaktā hai sar-e-shām ki guzregā abhī
vādi-e-shab se koī naġhma-sarā āvāra
ab koī kis se kahe kaifiyyat-e-zaḳhm-e-bahār
sabza begāna hai gul chup haiñ sabā āvāra
ek hum hi to nahin aabla-pa aawara
nighat-e-gul bhi hui baad-e-saba aawara
ye kahin umr-e-guzishta to nahin tum to nahin
koi phirta hai sar-e-shahr-e-wafa aawara
kaun manzil ki KHabar de kise manzil ki KHabar
rah-rau aabla-pa rah-numa aawara
dil dhaDakta hai sar-e-sham ki guzrega abhi
wadi-e-shab se koi naghma-sara aawara
ab koi kis se kahe kaifiyyat-e-zaKHm-e-bahaar
sabza begana hai gul chup hain saba aawara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.