ek humse tujhe nahin iKHlas
ek ham se tujhe nahīñ iḳhlās
ghar-ba-ghar tujh ko har kahīñ iḳhlās
rū-siyāhī sivā nahīñ hāsil
naam se mat kar ai nagīñ iḳhlās
dekh tujh zulf o rū kī ulfat ko
karte haiñ aaj kufr o diiñ iḳhlās
zor hī ham se tiiñ rakhā pyāre
vāh-vā rahmat-āfrīñ iḳhlās
misl-e-naqsh-e-qadam ye rakhtī hai
tere dar se mirī jabīñ iḳhlās
gar tamannā guhar kī hai to kar
chashm merī se āstīñ iḳhlās
aadam is daam meñ phañsā 'saudā'
rakkhe daane se ḳhosha-chīñ iḳhlās
ek hum se tujhe nahin iKHlas
ghar-ba-ghar tujh ko har kahin iKHlas
ru-siyahi siwa nahin hasil
nam se mat kar ai nagin iKHlas
dekh tujh zulf o ru ki ulfat ko
karte hain aaj kufr o din iKHlas
zor hi hum se tin rakha pyare
wah-wa rahmat-afrin iKHlas
misl-e-naqsh-e-qadam ye rakhti hai
tere dar se meri jabin iKHlas
gar tamanna guhar ki hai to kar
chashm meri se aastin iKHlas
aadam is dam mein phansa 'sauda'
rakkhe dane se KHosha-chin iKHlas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.