ek hangama bapa hai mujh mein
ek hañgāma bapā hai mujh meñ
koī to mujh se baḌā hai mujh meñ
inkisārī mirā sheva hai magar
ik zarā zo.am-e-anā hai mujh meñ
mujh se vo kaise baḌā hai kahiye
jab ḳhudā merā chhupā hai mujh meñ
maiñ nahīñ huuñ to mirā kaun hai ye
itne janmoñ jo rahā hai mujh meñ
vahī lamhe to ġhazal chheḌte haiñ
jin kī gum-gashta sadā hai mujh meñ
dasht-e-zulmāt meñ ham-rāh mire
koī to hai jo jalā hai mujh meñ
ek hangama bapa hai mujh mein
koi to mujh se baDa hai mujh mein
inkisari mera shewa hai magar
ek zara zoam-e-ana hai mujh mein
mujh se wo kaise baDa hai kahiye
jab KHuda mera chhupa hai mujh mein
main nahin hun to mera kaun hai ye
itne janmon jo raha hai mujh mein
wahi lamhe to ghazal chheDte hain
jin ki gum-gashta sada hai mujh mein
dasht-e-zulmat mein ham-rah mere
koi to hai jo jala hai mujh mein
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.