ek hi rah ko umr bhar dekhna
ek hī raah ko umr bhar dekhnā
koī aa.e na aa.e magar dekhnā
tum hameñ dekh kar kho ga.iiñ soch meñ
ab dobāra hameñ soch kar dekhnā
terā palkeñ jhukānā hameñ dekh kar
phir idhar dekhnā phir udhar dekhnā
ishq meñ TūTne kā alag lutf hai
tum kabhī ishq meñ TuuT kar dekhnā
haath se ik duā-gar ke kirchī huī
ab mirī bad-duā kā asar dekhnā
ek hi rah ko umr bhar dekhna
koi aae na aae magar dekhna
tum hamein dekh kar kho gain soch mein
ab dobara hamein soch kar dekhna
tera palken jhukana hamein dekh kar
phir idhar dekhna phir udhar dekhna
ishq mein TuTne ka alag lutf hai
tum kabhi ishq mein TuT kar dekhna
hath se ek dua-gar ke kirchi hui
ab meri bad-dua ka asar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.