ek ek gam pe pathraw hua hai mujh mein
ek ik gaam pe pathrāv huā hai mujh meñ
silsila ġham kā bahut duur chalā hai mujh meñ
itnā phailā huuñ simaTnā hī paḌegā shāyad
koī shiddat se mujhe DhūñD rahā hai mujh meñ
ashk Tapke to koī raaz kī tahrīr milī
aur kyā kyā nahīñ ma.alūm likhā hai mujh meñ
gūñjtā rahtā huuñ maiñ koī sune yā na sune
bhūlī-bisrī huī yādoñ kī sadā hai mujh meñ
hogī zaa.il na kabhī mere nafas kī ḳhushbū
ġham tirā uud kī mānind jalā hai mujh meñ
tāq-e-nisyāñ pe diyā kis ne ye rakh chhoḌā hai
ek muddat se jalā hai na bujhā hai mujh meñ
ek manzar bhī na dekhā gayā mujh se 'kāvish'
saare aalam ko koī dekh rahā hai mujh meñ
ek ek gam pe pathraw hua hai mujh mein
silsila gham ka bahut dur chala hai mujh mein
itna phaila hun simaTna hi paDega shayad
koi shiddat se mujhe DhunD raha hai mujh mein
ashk Tapke to koi raaz ki tahrir mili
aur kya kya nahin malum likha hai mujh mein
gunjta rahta hun main koi sune ya na sune
bhuli-bisri hui yaadon ki sada hai mujh mein
hogi zail na kabhi mere nafas ki KHushbu
gham tera ud ki manind jala hai mujh mein
taq-e-nisyan pe diya kis ne ye rakh chhoDa hai
ek muddat se jala hai na bujha hai mujh mein
ek manzar bhi na dekha gaya mujh se 'kawish'
sare aalam ko koi dekh raha hai mujh mein
- Book : saughat-pahli-kitab-magazines (Pg. 366)
- Author : mahmood ayaaz
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.