ek ek harf sameTo mujhe tahrir karo
ek ik harf sameTo mujhe tahrīr karo
merī yaksūī ko āmada-e-zanjīr karo
sab ḳhad-o-ḳhāl mire dhund hue jaate haiñ
sub.h ke rang se aao mujhe tasvīr karo
jītnā mere liye karb huā jaatā hai
mere pindār ko toḌo mujhe tasḳhīr karo
us 'imārat ko girā do jo nazar aatī hai
mire andar jo khañDar hai use tā'mīr karo
ab merī aañkh se le lo ḳhalish-e-bīnā.ī
yā mire ḳhvāb ko sharminda-e-ta.abīr karo
ek ek harf sameTo mujhe tahrir karo
meri yaksui ko aamada-e-zanjir karo
sab KHad-o-KHal mere dhund hue jate hain
subh ke rang se aao mujhe taswir karo
jitna mere liye karb hua jata hai
mere pindar ko toDo mujhe tasKHir karo
us 'imarat ko gira do jo nazar aati hai
mere andar jo khanDar hai use ta'mir karo
ab meri aankh se le lo KHalish-e-binai
ya mere KHwab ko sharminda-e-tabir karo
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 223)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.