ek ek se yahi kahta hun bata main kya hun
ek ik se yahī kahtā huuñ batā maiñ kyā huuñ
ek muddat huī maiñ bhuul gayā maiñ kyā huuñ
naqsh-bar-āb sahī aap banā aap miTā
ab talak hiltī hai zanjīr-e-sadā maiñ kyā huuñ
apnī pahnā.ī meñ gum-karda nishāñ huuñ maiñ bhī
tū agar hai isī duniyā kā ḳhudā maiñ kyā huuñ
ek tārīḳh-e-vilādat hai mirī ek vafāt
in haqā.eq ke sivā aur batā maiñ kyā huuñ
ab kahāñ DhūñDhne jāoge mujhe ai logo
ho chukā ḳhaak ga.ī le ke havā maiñ kyā huuñ
ek ek se yahi kahta hun bata main kya hun
ek muddat hui main bhul gaya main kya hun
naqsh-bar-ab sahi aap bana aap miTa
ab talak hilti hai zanjir-e-sada main kya hun
apni pahnai mein gum-karda nishan hun main bhi
tu agar hai isi duniya ka KHuda main kya hun
ek tariKH-e-wiladat hai meri ek wafat
in haqaeq ke siwa aur bata main kya hun
ab kahan DhunDhne jaoge mujhe ai logo
ho chuka KHak gai le ke hawa main kya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.