ek kafir se mohabbat ho gai
ek kāfir se mohabbat ho ga.ī
zindagī kaTnī musībat ho ga.ī
har tamannā dil se ruḳhsat ho ga.ī
aas kyā TuuTī ki fursat ho ga.ī
ishq ne pahuñchā diyā is haal ko
dekhne vāloñ ko 'ibrat ho ga.ī
ab na chāheñge kisī ko bhuul kar
tum ko dil de kar nasīhat ho ga.ī
ye junūn-e-'ishq ke andāz haiñ
apne saa.e se bhī vahshat ho ga.ī
jis ne us ko pā liyā vo kho gayā
jis ne dekhā us ko hairat ho ga.ī
dil meñ hī rakhnī thī 'shankar' dil kī baat
muñh se niklī to shikāyat ho ga.ī
ek kafir se mohabbat ho gai
zindagi kaTni musibat ho gai
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
aas kya TuTi ki fursat ho gai
ishq ne pahuncha diya is haal ko
dekhne walon ko 'ibrat ho gai
ab na chahenge kisi ko bhul kar
tum ko dil de kar nasihat ho gai
ye junun-e-'ishq ke andaz hain
apne sae se bhi wahshat ho gai
jis ne us ko pa liya wo kho gaya
jis ne dekha us ko hairat ho gai
dil mein hi rakhni thi 'shankar' dil ki baat
munh se nikli to shikayat ho gai
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 288)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.