ek KHwahish hai bas zamane ki
ek ḳhvāhish hai bas zamāne kī
terī āñkhoñ meñ Duub jaane kī
saath jab tum nibhā nahīñ paate
kyā zarūrat thī dil lagāne kī
aaj jab aas chhoḌ dī maiñ ne
tum ko fursat milī hai aane kī
terī har chaal maiñ samajhtā huuñ
tujh ko aadat hai dil dukhāne kī
ham to ḳhāna-ba-dosh haiñ logo
ham se mat pūchhiye Thikāne kī
ek KHwahish hai bas zamane ki
teri aankhon mein Dub jaane ki
sath jab tum nibha nahin pate
kya zarurat thi dil lagane ki
aaj jab aas chhoD di main ne
tum ko fursat mili hai aane ki
teri har chaal main samajhta hun
tujh ko aadat hai dil dukhane ki
hum to KHana-ba-dosh hain logo
hum se mat puchhiye Thikane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.