ek maqtūl-e-jafā do zulm ke qābil na thā
varna dil kā mārnā āsān thā mushkil na thā
shauq-e-āzādī meñ taḌpūñ us pe raazī dil na thā
varna betābī salāmat chhūTnā mushkil na thā
hashr meñ vo sar jhukā.e haiñ maiñ shikva kyā karūñ
jaane vaalī jaan thī merā koī qātil na thā
ab sulaimānī kise kahte haiñ batlā de mujhe
ek 'ālam thā tirī muTThī meñ merā dil na thā
de sadā ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar
aise bhī dar haiñ kabhī jin par koī saa.il na thā
ḳhaas vaqt-e-yād-e-gulshan aur merā chheḌnā
shab ko bhī sayyād mere zab.h se ġhāfil na thā
sub.h shām-e-ġham ne dāman bhar ke bhejā dahr se
varna is umr-e-do-roza kā koī hāsil na thā
us kī qudrat nā-tavānoñ ko bhī detā hai 'urūj
āsmāñ se sar chaḌhe naala to is qābil na thā
tere naqshe ne bhī furqat meñ na bahlāyā mujhe
shām-e-ġham jab aa.ī gurdoñ par har kāmil na thā
dekh lete do qadam chal kar ki matlab thā yahī
dar pe jo aayā thā vo bīmār thā saa.il na thā
qalb-e-sozāñ aur hī dhokā na khānā dahr meñ
rah gayā jo aag de kar sang thā vo dil na thā
kuchh sambhal jaatā agar karvaT badal jaate mirī
ye mujhe dushvār thā un ke liye mushkil na thā
Dūbtā thā dil shab-e-vasl aa chukī thī tā-sahar
ek tinke kā sahārā bhī lab-e-sāhil na thā
is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr meñ
kaun sā din thā ki maiñ āvāra-e-manzil na thā
ek jaltī sham' uThvā dī bahut achchhā kiyā
soḳhta-dil thā maiñ koī raunaq-e-mahfil na thā
shām-e-ġham jis meñ rahe barsoñ vahāñ kyā 'iid ho
vo to aa jaa.e magar ye dil hī is qābil na thā
juz fareb-e-husn aur ulfat ko 'sāqib' kyā kahūñ
zindagī se shai kabhī us par bhī dil maa.il na thā
ek maqtul-e-jafa do zulm ke qabil na tha
warna dil ka marna aasan tha mushkil na tha
shauq-e-azadi mein taDpun us pe raazi dil na tha
warna betabi salamat chhuTna mushkil na tha
hashr mein wo sar jhukae hain main shikwa kya karun
jaane wali jaan thi mera koi qatil na tha
ab sulaimani kise kahte hain batla de mujhe
ek 'alam tha teri muTThi mein mera dil na tha
de sada ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar
aise bhi dar hain kabhi jin par koi sail na tha
KHas waqt-e-yaad-e-gulshan aur mera chheDna
shab ko bhi sayyaad mere zabh se ghafil na tha
subh sham-e-gham ne daman bhar ke bheja dahr se
warna is umr-e-do-roza ka koi hasil na tha
us ki qudrat na-tawanon ko bhi deta hai 'uruj
aasman se sar chaDhe nala to is qabil na tha
tere naqshe ne bhi furqat mein na bahlaya mujhe
sham-e-gham jab aai gurdon par har kaamil na tha
dekh lete do qadam chal kar ki matlab tha yahi
dar pe jo aaya tha wo bimar tha sail na tha
qalb-e-sozan aur hi dhoka na khana dahr mein
rah gaya jo aag de kar sang tha wo dil na tha
kuchh sambhal jata agar karwaT badal jate meri
ye mujhe dushwar tha un ke liye mushkil na tha
Dubta tha dil shab-e-wasl aa chuki thi ta-sahar
ek tinke ka sahaara bhi lab-e-sahil na tha
is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr mein
kaun sa din tha ki main aawara-e-manzil na tha
ek jalti sham' uThwa di bahut achchha kiya
soKHta-dil tha main koi raunaq-e-mahfil na tha
sham-e-gham jis mein rahe barson wahan kya 'id ho
wo to aa jae magar ye dil hi is qabil na tha
juz fareb-e-husn aur ulfat ko 'saqib' kya kahun
zindagi se shai kabhi us par bhi dil mail na tha
Source :
Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 145)
Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.