ek markaz pe simaTta jaun
ek markaz pe simaTtā jā.ūñ
ye maiñ ghaTtā huuñ ki baḌhtā jā.ūñ
ik nafas bhī maiñ na jā.ūñ bekār
kisī taḳhlīq meñ bartā jā.ūñ
maiñ bulandī kī taraf maa.il huuñ
zīna-dar-zīna utartā jā.ūñ
ho rahā huuñ tire dukh meñ tahlīl
apne har dard se kaTtā jā.ūñ
ho rahā huuñ maiñ kahīñ aur tulū
ufuq-e-jism se Dhaltā jā.ūñ
ek markaz pe simaTta jaun
ye main ghaTta hun ki baDhta jaun
ek nafas bhi main na jaun bekar
kisi taKHliq mein barta jaun
main bulandi ki taraf mail hun
zina-dar-zina utarta jaun
ho raha hun tere dukh mein tahlil
apne har dard se kaTta jaun
ho raha hun main kahin aur tulu
ufuq-e-jism se Dhalta jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.