ek muddat hui ghar se nikle hue
ek muddat huī ghar se nikle hue
apne māhaul meñ ḳhud ko dekhe hue
ek din ham achānak baḌe ho ga.e
khel meñ dauḌ kar us ko chhūte hue
sab guzarte rahe saf-ba-saf paas se
mere siine pe ik phuul rakhte hue
jaise ye mez miTTī kā hāthī ye phuul
ek kone meñ ham bhī haiñ rakkhe hue
sharm to aa.ī lekin ḳhushī bhī huī
apnā dukh us ke chehre pe paḌhte hue
bas bahut ho chukā aa.ine se gila
dekh legā koī ḳhud se milte hue
zindagī bhar rahe haiñ añdhere meñ ham
raushnī se pareshān hote hue
ek muddat hui ghar se nikle hue
apne mahaul mein KHud ko dekhe hue
ek din hum achanak baDe ho gae
khel mein dauD kar us ko chhute hue
sab guzarte rahe saf-ba-saf pas se
mere sine pe ek phul rakhte hue
jaise ye mez miTTi ka hathi ye phul
ek kone mein hum bhi hain rakkhe hue
sharm to aai lekin KHushi bhi hui
apna dukh us ke chehre pe paDhte hue
bas bahut ho chuka aaine se gila
dekh lega koi KHud se milte hue
zindagi bhar rahe hain andhere mein hum
raushni se pareshan hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.