ek muddat se tujhe dil mein basa rakkha hai
ek muddat se tujhe dil meñ basā rakkhā hai
maiñ tujhe yād-dahānī se alag rakhtā huuñ
vo sunegā to chhalak uTTheñgī āñkheñ us kī
is liye ḳhud ko kahānī se alag rakhtā huuñ
vo jo bachpan meñ tire saath paḌhā kartā thā
un kitāboñ ko nishānī se alag rakhtā huuñ
tazkira us kā ġhazal meñ nahīñ kartā huuñ 'ra.īs'
maiñ use lafz-o-ma.ānī se alag rakhtā huuñ
ek muddat se tujhe dil mein basa rakkha hai
main tujhe yaad-dahani se alag rakhta hun
wo sunega to chhalak uTThengi aankhen us ki
is liye KHud ko kahani se alag rakhta hun
wo jo bachpan mein tere sath paDha karta tha
un kitabon ko nishani se alag rakhta hun
tazkira us ka ghazal mein nahin karta hun 'rais'
main use lafz-o-maani se alag rakhta hun
- Book : Mizgan(Raees Ahmad Ansari Number : Shumara Number-027,028) (Pg. 269)
- Author : Naushad Momin
- Publication : M. N. Kashif (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.