ek na ek diwar sarakti rahti hai
ek na ik dīvār saraktī rahtī hai
ghar kī chhat har rut meñ Tapaktī rahtī hai
jism mirā shahroñ meñ hañstā gaatā hai
ruuh mirī jañgal meñ sisaktī rahtī hai
titlī pyaar kare kāġhaz ke phūloñ se
ḳhushbū sahrāoñ meñ bhaTaktī rahtī hai
bhiiḌ meñ bhī ik chāñd chamaktā rahtā hai
shahr meñ bhī paa.el sī chhanaktī rahtī hai
chāroñ or ke ḳhālī manzar meñ har saañs
aañkh mirī tirī sūrat taktī rahtī hai
jañg laḌe barsoñ guzre lekin ab bhī
sar pe mire talvār chamaktī rahtī hai
barf to duur pahāḌoñ par girtī hai 'ashk'
aag mirī vaadī meñ dahaktī rahtī hai
ek na ek diwar sarakti rahti hai
ghar ki chhat har rut mein Tapakti rahti hai
jism mera shahron mein hansta gata hai
ruh meri jangal mein sisakti rahti hai
titli pyar kare kaghaz ke phulon se
KHushbu sahraon mein bhaTakti rahti hai
bhiD mein bhi ek chand chamakta rahta hai
shahr mein bhi pael si chhanakti rahti hai
chaaron or ke KHali manzar mein har sans
aankh meri teri surat takti rahti hai
jang laDe barson guzre lekin ab bhi
sar pe mere talwar chamakti rahti hai
barf to dur pahaDon par girti hai 'ashk'
aag meri wadi mein dahakti rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.