ek nae sanche mein Dhal jata hun main
ek na.e sāñche meñ Dhal jaatā huuñ maiñ
qatra qatra roz pighal jaatā huuñ maiñ
jab se vo ik sūraj mujh meñ Duubā hai
ḳhud ko bhī chhū luuñ to jal jaatā huuñ maiñ
ā.īna bhī hairānī meñ Duubā hai
itnā kaise roz badal jaatā huuñ maiñ
mīThī mīThī bātoñ meñ mā'lūm nahīñ
jaane kitnā zahr ugal jaatā huuñ maiñ
ab Thokar khāne kā mujh ko ḳhauf nahīñ
girtā huuñ to aur sañbhal jaatā huuñ maiñ
aksar ab apnā pīchhā karte karte
ḳhud se kitnī duur nikal jaatā huuñ maiñ
ek nae sanche mein Dhal jata hun main
qatra qatra roz pighal jata hun main
jab se wo ek suraj mujh mein Duba hai
KHud ko bhi chhu lun to jal jata hun main
aaina bhi hairani mein Duba hai
itna kaise roz badal jata hun main
miThi miThi baaton mein ma'lum nahin
jaane kitna zahr ugal jata hun main
ab Thokar khane ka mujh ko KHauf nahin
girta hun to aur sanbhal jata hun main
aksar ab apna pichha karte karte
KHud se kitni dur nikal jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.