ek naya waqia ishq mein kya ho gaya
ek nayā vāqi.a ishq meñ kyā ho gayā
dil meñ kahīñ phir koī zaḳhm harā ho gayā
bazm-e-tarab bhī sajī mahfil-e-ġham bhī sajī
kaun milā thā mujhe kaun judā ho gayā
apnī ḳhushī se mujhe terī ḳhushī thī aziiz
tū bhī magar jaane kyuuñ mujh se ḳhafā ho gayā
maiñ to nahīñ māñgtā is ke sivā kuchh sila
terī nazar ho ga.ī merā bhalā ho gayā
baḌhne lagī ḳhāmushī Darne lagī zindagī
dil hī merā daf.atan naġhma-sarā ho gayā
ek naya waqia ishq mein kya ho gaya
dil mein kahin phir koi zaKHm hara ho gaya
bazm-e-tarab bhi saji mahfil-e-gham bhi saji
kaun mila tha mujhe kaun juda ho gaya
apni KHushi se mujhe teri KHushi thi aziz
tu bhi magar jaane kyun mujh se KHafa ho gaya
main to nahin mangta is ke siwa kuchh sila
teri nazar ho gai mera bhala ho gaya
baDhne lagi KHamushi Darne lagi zindagi
dil hi mera dafatan naghma-sara ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.