ek pahuncha hua musafir hai
ek pahuñchā huā musāfir hai
dil bhaTakne meñ phir bhī māhir hai
kaun laayā hai ishq par īmāñ
maiñ bhī kāfir huuñ tū bhī kāfir hai
dard kā vo jo harf-e-avval thā
dard kā vo hī harf-e-āḳhir hai
kaam adhūrā paḌā hai ḳhvāboñ kā
aaj phir niiñd ġhair-hāzir hai
laaj rakh lī tirī samā.at ne
varna 'tābish' bhī koī shā.ir hai
ek pahuncha hua musafir hai
dil bhaTakne mein phir bhi mahir hai
kaun laya hai ishq par iman
main bhi kafir hun tu bhi kafir hai
dard ka wo jo harf-e-awwal tha
dard ka wo hi harf-e-aKHir hai
kaam adhura paDa hai KHwabon ka
aaj phir nind ghair-hazir hai
laj rakh li teri samaat ne
warna 'tabish' bhi koi shair hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.