ek patjhaD sa hai laga mujh mein
ek patjhaḌ sā hai lagā mujh meñ
phir koī gul nahīñ khilā mujh meñ
zabt meñ mubtalā mirī āñkheñ
ek dariyā sā sūkhtā mujh meñ
ghar kī khiḌkī se jhoñkne vaalā
merī āñkhoñ se jhāñktā mujh meñ
dil-shikasta meñ bhar ga.ī sīlan
koī shiddat se ro rahā mujh meñ
terī yādeñ bhī kar ga.iiñ hijrat
ab to kuchh bhī nahīñ bachā mujh meñ
ek patjhaD sa hai laga mujh mein
phir koi gul nahin khila mujh mein
zabt mein mubtala meri aankhen
ek dariya sa sukhta mujh mein
ghar ki khiDki se jhonkne wala
meri aankhon se jhankta mujh mein
dil-shikasta mein bhar gai silan
koi shiddat se ro raha mujh mein
teri yaaden bhi kar gain hijrat
ab to kuchh bhi nahin bacha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.