ek patthar hai magar aaina-KHane kitne
ek patthar hai magar ā.ina-ḳhāne kitne
ek dīvāna lagā.egā nishāne kitne
sirf ik tum hī nahīñ aur na jaane kitne
log ban jaate haiñ ulfat meñ divāne kitne
ishq meñ log banāte haiñ bahāne kitne
ek dil hai magar haiñ is ke fasāne kitne
maiñ ne ik baar tirā jalva hasīñ dekhā hai
is mulāqāt ko guzre haiñ zamāne kitne
ek patthar hai magar aaina-KHane kitne
ek diwana lagaega nishane kitne
sirf ek tum hi nahin aur na jaane kitne
log ban jate hain ulfat mein diwane kitne
ishq mein log banate hain bahane kitne
ek dil hai magar hain is ke fasane kitne
main ne ek bar tera jalwa hasin dekha hai
is mulaqat ko guzre hain zamane kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.