ek pauda jo uga hai use pani dena
ek paudā jo ugā hai use paanī denā
apne āñgan ko na.ī rut kī kahānī denā
tirī āvāz se jab TuuTe mire ghar kā sukūt
dar-o-dīvār ko bhī sehr-bayānī denā
poñchh lenā mirī palkoñ se lahū kī būñdeñ
mirī āñkhoñ ko agar manzar-e-sānī denā
kashtiyāñ denā magar izn-e-safar se pahle
Thahre paanī ko bhī dariyā kī ravānī denā
yuuñ jalūñ maiñ ki na sharminda rahūñ sūraj se
aur kuchh aur mujhe soḳhta-jānī denā
ret par naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ rahne paate
ahl-e-sahrā ko koī aur nishānī denā
ek pauda jo uga hai use pani dena
apne aangan ko nai rut ki kahani dena
teri aawaz se jab TuTe mere ghar ka sukut
dar-o-diwar ko bhi sehr-bayani dena
ponchh lena meri palkon se lahu ki bunden
meri aankhon ko agar manzar-e-sani dena
kashtiyan dena magar izn-e-safar se pahle
Thahre pani ko bhi dariya ki rawani dena
yun jalun main ki na sharminda rahun suraj se
aur kuchh aur mujhe soKHta-jaani dena
ret par naqsh-e-kaf-e-pa nahin rahne pate
ahl-e-sahra ko koi aur nishani dena
- Book : Tridhara (Pg. 64)
- Author : Dr. Hari Kunwar Rai 'Kunwar'
- Publication : Dishantar Parkashan (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.