ek rangin KHwab hai duniya
ek rañgīn ḳhvāb hai duniyā
yā nashāt-e-sarāb hai duniyā
ġhaur se paḌh sako to samjhoge
ek dilkash kitāb hai duniyā
uljhanoñ ne ye kar diyā sābit
ik musalsal azaab hai duniyā
bhaa.ī bhaa.ī kā ḳhuun kartā hai
socho kitnī ḳharāb hai duniyā
hai sazā hī sazā hamāre liye
kis qadar pur-itāb hai duniyā
dil lagāo na us se ai 'ahsan'
ek be-faiz ḳhvāb hai duniyā
ek rangin KHwab hai duniya
ya nashat-e-sarab hai duniya
ghaur se paDh sako to samjhoge
ek dilkash kitab hai duniya
uljhanon ne ye kar diya sabit
ek musalsal azab hai duniya
bhai bhai ka KHun karta hai
socho kitni KHarab hai duniya
hai saza hi saza hamare liye
kis qadar pur-itab hai duniya
dil lagao na us se ai 'ahsan'
ek be-faiz KHwab hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.