ek rishta bana raha hai mujhe
ek rishta banā rahā hai mujhe
ek rishta miTā rahā hai mujhe
ye diyā chup nahīñ rahā shab bhar
ik kahānī sunā rahā hai mujhe
ab mujhe kiil se laTaknā hai
panting sī banā rahā hai mujhe
ashk āñkhoñ meñ ret sāñsoñ meñ
ishq kyā kyā sikhā rahā hai mujhe
aag kā raag hai ise mat chheḌ
be-ḳhabar kyoñ jalā rahā hai mujhe
lok dhun jaisī kho ga.ī thī maiñ
jaane ab kaun gā rahā hai mujhe
saare dukh sukh ulajh ga.e āḳhir
vaqt sab kuchh bhulā rahā hai mujhe
aag hī aag kā izāla thī
vaqt kundan banā rahā hai mujhe
maiñ nahīñ jāntī burā yā bhalā
kuchh na kuchh yaad aa rahā hai mujhe
har taraf ik pukār suntī huuñ
koī apnā bulā rahā hai mujhe
ek dariyā jo ulTā bahtā hai
saath apne bahā rahā hai mujhe
jaise maiñ ret kā gharauñdā thī
toḌ kar phir banā rahā hai mujhe
bāñdh kar merī donoñ āñkhoñ ko
koī manzar dikhā rahā hai mujhe
mere par kāTne ke baad 'sahar'
ghoñsle se girā rahā hai mujhe
ek rishta bana raha hai mujhe
ek rishta miTa raha hai mujhe
ye diya chup nahin raha shab bhar
ek kahani suna raha hai mujhe
ab mujhe kil se laTakna hai
panting si bana raha hai mujhe
ashk aankhon mein ret sanson mein
ishq kya kya sikha raha hai mujhe
aag ka rag hai ise mat chheD
be-KHabar kyon jala raha hai mujhe
lok dhun jaisi kho gai thi main
jaane ab kaun ga raha hai mujhe
sare dukh sukh ulajh gae aaKHir
waqt sab kuchh bhula raha hai mujhe
aag hi aag ka izala thi
waqt kundan bana raha hai mujhe
main nahin jaanti bura ya bhala
kuchh na kuchh yaad aa raha hai mujhe
har taraf ek pukar sunti hun
koi apna bula raha hai mujhe
ek dariya jo ulTa bahta hai
sath apne baha raha hai mujhe
jaise main ret ka gharaunda thi
toD kar phir bana raha hai mujhe
bandh kar meri donon aankhon ko
koi manzar dikha raha hai mujhe
mere par kaTne ke baad 'sahar'
ghonsle se gira raha hai mujhe
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.