ek ruKH sau naqab hai duniya
ek ruḳh sau naqāb hai duniyā
aur phir be-hijāb hai duniyā
ḳhūbsūrat hanūz be-ḳhushbū
kāġhazoñ kī gulāb hai duniyā
koī ta.abīr kyā kare us kī
ek gūñge kā ḳhvāb hai duniyā
lafz-o-ma.anī kī tāzgī mat pūchh
go purānī kitāb hai duniyā
ham bhī aise kahāñ ke achchhe haiñ
kyā huā gar ḳharāb hai duniyā
sar-basar aish bhī aziyyat bhī
ḳhuld-e-dozaḳh-ma.āb hai duniyā
aao 'zebā' ye tajziya to kareñ
ham haiñ ḳhud yā ḳharāb hai duniyā
ek ruKH sau naqab hai duniya
aur phir be-hijab hai duniya
KHubsurat hanuz be-KHushbu
kaghazon ki gulab hai duniya
koi tabir kya kare us ki
ek gunge ka KHwab hai duniya
lafz-o-mani ki tazgi mat puchh
go purani kitab hai duniya
hum bhi aise kahan ke achchhe hain
kya hua gar KHarab hai duniya
sar-basar aish bhi aziyyat bhi
KHuld-e-dozaKH-maab hai duniya
aao 'zeba' ye tajziya to karen
hum hain KHud ya KHarab hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.