ek saya sa pas-e-chilman hai
ek saaya sā pas-e-chilman hai
aur kahne ko yahī darshan hai
tujhe hālāt se kyoñ uljhan hai
tujh pe qurbān mirā tan-man hai
ham hī vo ahl-e-nazar haiñ jin se
husn vāloñ kā diyā raushan hai
is se bachnā nahīñ mumkin 'mīsam'
hijr kī teġh-tale gardan hai
ek saya sa pas-e-chilman hai
aur kahne ko yahi darshan hai
tujhe haalat se kyon uljhan hai
tujh pe qurban mera tan-man hai
hum hi wo ahl-e-nazar hain jin se
husn walon ka diya raushan hai
is se bachna nahin mumkin 'misam'
hijr ki tegh-tale gardan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.