ek sadme se har din ubharti rahi
ek sadme se har din ubhartī rahī
roz jiitī rahī roz martī rahī
jis ko paanā hī mumkin nahīñ thā kabhī
'umr-bhar us ko khone se Dartī rahī
sīḌhiyāñ kāmyābī kī chaḌhte hue
maiñ bahut se diloñ se utartī rahī
dūsroñ ko maiñ marham lagāte hue
apne dil par lage zaḳhm bhartī rahī
'ishq karnā kisī aur kā kaam thā
maiñ kisī aur kā kaam kartī rahī
mujh ko poshīda rakhnī thī sāda-dilī
so maiñ huliye se bantī sañvartī rahī
'ishq mujh ko bhī hone lagā thā magar
maiñ zamāne ke Dar se mukartī rahī
'ishq kahne ko donoñ taraf thā magar
vo simaTtā gayā maiñ bikhartī rahī
ek sadme se har din ubharti rahi
roz jiti rahi roz marti rahi
jis ko pana hi mumkin nahin tha kabhi
'umr-bhar us ko khone se Darti rahi
siDhiyan kaamyabi ki chaDhte hue
main bahut se dilon se utarti rahi
dusron ko main marham lagate hue
apne dil par lage zaKHm bharti rahi
'ishq karna kisi aur ka kaam tha
main kisi aur ka kaam karti rahi
mujh ko poshida rakhni thi sada-dili
so main huliye se banti sanwarti rahi
'ishq mujh ko bhi hone laga tha magar
main zamane ke Dar se mukarti rahi
'ishq kahne ko donon taraf tha magar
wo simaTta gaya main bikharti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.