ek saf mein shajar lage hue hain
ek saf meñ shajar lage hue haiñ
ham bhī ik shāḳh par lage hue haiñ
jitnā afsos kījiye kam hai
vaqt ko jaise par lage hue haiñ
shab kī tasvīr nā-mukammal hai
kuchh sitāre idhar lage hue haiñ
chāñd ko aa.ina dikhānā hai
shaam se shīshagar lage hue haiñ
dil kā āñgan bharā hai kāñToñ se
phuul dīvār par lage hue haiñ
ek saf mein shajar lage hue hain
hum bhi ek shaKH par lage hue hain
jitna afsos kijiye kam hai
waqt ko jaise par lage hue hain
shab ki taswir na-mukammal hai
kuchh sitare idhar lage hue hain
chand ko aaina dikhana hai
sham se shishagar lage hue hain
dil ka aangan bhara hai kanTon se
phul diwar par lage hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.