ek sahra mein bo diya hai mujhe
ek sahrā meñ bo diyā hai mujhe
mere logoñ ne kho diyā hai mujhe
is liye bhī mujhe aziiz hai tū
kam se kam zaḳhm to diyā hai mujhe
ab ke ashkoñ meñ terā ġham bhī gayā
ab kī bārish ne dho diyā hai mujhe
dhaḌkaneñ aur kisī ke vāste haiñ
to ye dil naam ko diyā hai mujhe
aaj to merā hañsnā bantā hai
aaj to vo bhī ro diyā hai mujhe
ek sahra mein bo diya hai mujhe
mere logon ne kho diya hai mujhe
is liye bhi mujhe aziz hai tu
kam se kam zaKHm to diya hai mujhe
ab ke ashkon mein tera gham bhi gaya
ab ki barish ne dho diya hai mujhe
dhaDkanen aur kisi ke waste hain
to ye dil nam ko diya hai mujhe
aaj to mera hansna banta hai
aaj to wo bhi ro diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.