ek samundar aansuon ka bhar chuka kamre mein wo
ek samundar aansuon ka bhar chuka kamre mein wo
Arpit Sharma Arpit
MORE BYArpit Sharma Arpit
ek samundar āñsuoñ kā bhar chukā kamre meñ vo
apnī barbādī kā mātam kar chukā kamre meñ vo
uf ye sannāTā ye tārīkī ye tanhā.ī kā ḳhauf
tere bin jiite hī jī hai mar chukā kamre meñ vo
mujh ko kuchh aisā lagā ki mar ke zinda ho gayā
apne hī saa.e se jaise Dar chukā kamre meñ vo
ab na bolo aap kuchh aur nā hī ab bole koī
vo kabhī ka mar chukā hai mar chukā kamre meñ vo
uf re tanhā.ī kā ye ehsās apne aap meñ
laash jaise aap apnī dhar chukā kamre meñ vo
ḳhud-kushī 'arpit' kī koī zikr ke qābil nahīñ
jo bhī karnā thā use ab kar chukā kamre meñ vo
ek samundar aansuon ka bhar chuka kamre mein wo
apni barbaadi ka matam kar chuka kamre mein wo
uf ye sannaTa ye tariki ye tanhai ka KHauf
tere bin jite hi ji hai mar chuka kamre mein wo
mujh ko kuchh aisa laga ki mar ke zinda ho gaya
apne hi sae se jaise Dar chuka kamre mein wo
ab na bolo aap kuchh aur na hi ab bole koi
wo kabhi ka mar chuka hai mar chuka kamre mein wo
uf re tanhai ka ye ehsas apne aap mein
lash jaise aap apni dhar chuka kamre mein wo
KHud-kushi 'arpit' ki koi zikr ke qabil nahin
jo bhi karna tha use ab kar chuka kamre mein wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.