ek sargoshi mein apni baat kah jata hai kaun
ek sargoshī meñ apnī baat kah jaatā hai kaun
paas jab koī nahīñ to paas aa jaatā hai kaun
ek vīrāñ shahr ko ābād kar jaatā hai kaun
ik dil-e-nāshād ko yuuñ shaad kar jaatā hai kaun
tañg kar detī hai hasrat ārzūoñ kā hisār
is hisār-e-ārzū meñ phir samā jaatā hai kaun
chhīn kar kul iḳhtiyār-e-ārzū ehsās se
ek shahr-e-bebasī ābād kar jaatā hai kaun
laakh jugnū jhilmilāte hoñ añdherī raat meñ
chāñd ban kar phir tasavvur meñ ubhar jaatā hai kaun
bhej detā hai sharar kuchh raushnī ke naam par
zarre zarre meñ tapish ban kar bikhar jaatā hai kaun
ek sargoshi mein apni baat kah jata hai kaun
pas jab koi nahin to pas aa jata hai kaun
ek viran shahr ko aabaad kar jata hai kaun
ek dil-e-nashad ko yun shad kar jata hai kaun
tang kar deti hai hasrat aarzuon ka hisar
is hisar-e-arzu mein phir sama jata hai kaun
chhin kar kul iKHtiyar-e-arzu ehsas se
ek shahr-e-bebasi aabaad kar jata hai kaun
lakh jugnu jhilmilate hon andheri raat mein
chand ban kar phir tasawwur mein ubhar jata hai kaun
bhej deta hai sharar kuchh raushni ke nam par
zarre zarre mein tapish ban kar bikhar jata hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.