ek sawari aaegi ek jaegi
ek savārī aa.egī ik jā.egī
baarī baarī sab kī baarī aa.egī
phuul agar pairoñ ke nīche ā.eñge
āñkhoñ kī bīnā.ī kam ho jā.egī
thoḌī der meñ ek charāġhoñ kī thālī
kaalī billī sar par rakh kar aa.egī
patjhaḌ ke piile piile sone se ladī
pakke bāloñ vaalī aurat aa.egī
sūkhe phūloñ se siine ko Dhāñpeñgī
TuuTe pattoñ kī pishvāz banā.egī
āhista chalne meñ ab dam ghuTtā hai
Thahrūñgā to saañs mirī ruk jā.egī
paanī ko ganda karne se kyā hāsil
terī bhī parchhā.īñ dhuñdlā jā.egī
ek sawari aaegi ek jaegi
bari bari sab ki bari aaegi
phul agar pairon ke niche aaenge
aankhon ki binai kam ho jaegi
thoDi der mein ek charaghon ki thaali
kali billi sar par rakh kar aaegi
patjhaD ke pile pile sone se ladi
pakke baalon wali aurat aaegi
sukhe phulon se sine ko Dhanpengi
TuTe patton ki pishwaz banaegi
aahista chalne mein ab dam ghuTta hai
Thahrunga to sans meri ruk jaegi
pani ko ganda karne se kya hasil
teri bhi parchhain dhundla jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.